aql daKHil ho gai hai wahm ke maidan mein
aql dāḳhil ho ga.ī hai vahm ke maidān meñ
āsmāñ baanī bhī hai ab halqa-e-imkān meñ
aql-o-dil kā sāmnā thā dīda-e-hairān meñ
maiñ khaḌā sāhil pe thā vo halqa-e-tūfān meñ
ḳhuld se duniyā meñ aate dam kahāñ ma.alūm thā
ranj-o-ġham so bāñdh rakkhe haiñ mire sāmān meñ
dhuñd chhaT jā.egī vaa.iz chaar din meñ dekhnā
Duub jā.eñge tire qisse mire elaan meñ
kufr aur ilhād kī nā-ḳhūbiyoñ kī bhiiḌ meñ
koī ḳhūbī bhī to hogī chiin meñ jāpān meñ
maiñ hujūm-e-ġham meñ martā thā na jiitā thā 'sa.īd'
vo nazar aa.e to chande jaan aa.ī jaan meñ
aql daKHil ho gai hai wahm ke maidan mein
aasman bani bhi hai ab halqa-e-imkan mein
aql-o-dil ka samna tha dida-e-hairan mein
main khaDa sahil pe tha wo halqa-e-tufan mein
KHuld se duniya mein aate dam kahan malum tha
ranj-o-gham so bandh rakkhe hain mere saman mein
dhund chhaT jaegi waiz chaar din mein dekhna
Dub jaenge tere qisse mere elan mein
kufr aur ilhad ki na-KHubiyon ki bhiD mein
koi KHubi bhi to hogi chin mein japan mein
main hujum-e-gham mein marta tha na jita tha 'said'
wo nazar aae to chande jaan aai jaan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.