aql-e-juzwi chhoD kar ai yar fikr-e-kul karo
aql-e-juzvī chhoḌ kar ai yaar fikr-e-kul karo
mish.al-e-dil ko chitā faanī charāġhāñ gul karo
dil lagāo ek se donoñ jahāñ jis kā zuhūr
bul-havas ho kar na hargiz ādat-e-bulbul karo
maiñ mohabbat suuñ hamesha ishq meñ sarshār huuñ
nashsha-e-fānī suuñ mat ḳhātir ko ḳhu-e-mul karo
zulf-o-āriz hai munavvar dekh vaj.hullāh kā
tum na ko sair-e-chaman aur ḳhvāhish-e-sumbul karo
qaul par lā-taqnatū ke raho hamesha jam.a-dil
mat tumheñ ḳhātir pareshāñ sūrat-e-kākul karo
ḳhauf mat rakkho kisī dushman se dil meñ yak ratī
pusht-bāñ apnā hamesha sāhab-e-duldul karo
ai 'alīmullāh' avval ishq meñ mismār ho
āshiqoñ meñ ba.ad apne āshiqī kā ġhul karo
aql-e-juzwi chhoD kar ai yar fikr-e-kul karo
mishal-e-dil ko chita fani charaghan gul karo
dil lagao ek se donon jahan jis ka zuhur
bul-hawas ho kar na hargiz aadat-e-bulbul karo
main mohabbat sun hamesha ishq mein sarshaar hun
nashsha-e-fani sun mat KHatir ko KHu-e-mul karo
zulf-o-ariz hai munawwar dekh wajhullah ka
tum na ko sair-e-chaman aur KHwahish-e-sumbul karo
qaul par la-taqnatu ke raho hamesha jama-dil
mat tumhein KHatir pareshan surat-e-kakul karo
KHauf mat rakkho kisi dushman se dil mein yak rati
pusht-ban apna hamesha sahab-e-duldul karo
ai 'alimullah' awwal ishq mein mismar ho
aashiqon mein baad apne aashiqi ka ghul karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.