aql gai hai sab ki khoi kya ye KHalq diwani hai
aql gai hai sab ki khoi kya ye KHalq diwani hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
aql ga.ī hai sab kī khoī kyā ye ḳhalq divānī hai
aap halāl maiñ hotā huuñ in logoñ ko qurbānī hai
nutq-e-zabāñ gar hotā mujh ko pūchhtā maiñ taqsīr mirī
haañ ye magar do āñkheñ haiñ so in se ashk-fishānī hai
ghaas charī hai jañgal kī maiñ juun meñ dumbe bakre kī
un kā kuchh Dhālā ki bigāḌā jis par ḳhanjar raanī hai
tiin jagah se mere gale ko misl-e-shutur ye kāTte haiñ
dīn-e-mohammadī hai jo ḳhalīlī us kī ye tuġhyānī hai
jins ne jins ko qatl kiyā kab dekhiyo bad-zātī to zarā
ya.anī jo ho mard-e-musalmāñ us kī ye hī nishānī hai
kāfir dil jallād nahīñ ham zaḳhm ko ek samajhte haiñ
ham ko jo is kaam kā samjhe us kī ye nādānī hai
rāh-e-razā par apnā galā kaTvā.e jo nīche ḳhanjar ke
'mus.hafī' us ko ham ye kaheñge vo bhī husain-e-sānī hai
aql gai hai sab ki khoi kya ye KHalq diwani hai
aap halal main hota hun in logon ko qurbani hai
nutq-e-zaban gar hota mujh ko puchhta main taqsir meri
han ye magar do aankhen hain so in se ashk-fishani hai
ghas chari hai jangal ki main jun mein dumbe bakre ki
un ka kuchh Dhaala ki bigaDa jis par KHanjar rani hai
tin jagah se mere gale ko misl-e-shutur ye kaTte hain
din-e-mohammadi hai jo KHalili us ki ye tughyani hai
jins ne jins ko qatl kiya kab dekhiyo bad-zati to zara
yani jo ho mard-e-musalman us ki ye hi nishani hai
kafir dil jallad nahin hum zaKHm ko ek samajhte hain
hum ko jo is kaam ka samjhe us ki ye nadani hai
rah-e-raza par apna gala kaTwae jo niche KHanjar ke
'mushafi' us ko hum ye kahenge wo bhi husain-e-sani hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 268)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.