aql hairan hai wo manzar nazar aata hai mujhe
'aql hairāñ hai vo manzar nazar aatā hai mujhe
aa.ina dil kā sikandar nazar aatā hai mujhe
log kyā dekh sakeñge vo khulī āñkhoñ se
band āñkhoñ pe jo manzar nazar aatā hai mujhe
vo bhī 'ālam hai tirī bazm kā tā-hadd-e-nazar
jo tirī bazm se uTh kar nazar aatā hai mujhe
ik kashish sī jo ye maujūd har ik shakl meñ hai
tū hī kyā ruup badal kar nazar aatā hai mujhe
ālam-e-ḳhvāb ho yā hālat-e-bedārī ho
ek chehra hai jo aksar nazar aatā hai mujhe
uns kyūñkar na ho ai dil mujhe vīrānoñ se
har ḳharābe meñ mirā ghar nazar aatā hai mujhe
'aql hairan hai wo manzar nazar aata hai mujhe
aaina dil ka sikandar nazar aata hai mujhe
log kya dekh sakenge wo khuli aankhon se
band aankhon pe jo manzar nazar aata hai mujhe
wo bhi 'alam hai teri bazm ka ta-hadd-e-nazar
jo teri bazm se uTh kar nazar aata hai mujhe
ek kashish si jo ye maujud har ek shakl mein hai
tu hi kya rup badal kar nazar aata hai mujhe
aalam-e-KHwab ho ya haalat-e-bedari ho
ek chehra hai jo aksar nazar aata hai mujhe
uns kyunkar na ho ai dil mujhe viranon se
har KHarabe mein mera ghar nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.