aql jis pahlu se chahe zist samjhae ise
aql jis pahlū se chāhe ziist samjhā.e ise
dil kā ye 'ālam ki har lamhe se ḳhauf aa.e ise
dasht kā raahī bhaTak kar aa gayā hai shahr meñ
qais koī ho to apne saath le jaa.e ise
sar-ba-zānū yaad kā zindānī hai baiThā huā
koī mīThī yaad aa.e aa ke sahlā.e ise
ye hī sab ko dars detā hai qarār-o-sabr kā
ye hī bekal ho uThe to kaun samjhā.e ise
bulbul-e-muztar kī qismat jaag jaa.e ek din
chhū ke gul bād-e-sabā chhū kar guzar jaa.e ise
ajnabī ek shahr meñ hai ajnabī logoñ ke biich
kaun pahchāne ise aur le ke ghar jaa.e ise
tum ko gar bīmār kī hai fikr kuchh aisā karo
ye baḌī taklīf meñ hai niiñd aa jaa.e ise
ai junūñ ab dil kā koī aur maskan DhūñD lo
hai parī-chehra koī jo aa ke le jaa.e ise
aql jis pahlu se chahe zist samjhae ise
dil ka ye 'alam ki har lamhe se KHauf aae ise
dasht ka rahi bhaTak kar aa gaya hai shahr mein
qais koi ho to apne sath le jae ise
sar-ba-zanu yaad ka zindani hai baiTha hua
koi miThi yaad aae aa ke sahlae ise
ye hi sab ko dars deta hai qarar-o-sabr ka
ye hi bekal ho uThe to kaun samjhae ise
bulbul-e-muztar ki qismat jag jae ek din
chhu ke gul baad-e-saba chhu kar guzar jae ise
ajnabi ek shahr mein hai ajnabi logon ke bich
kaun pahchane ise aur le ke ghar jae ise
tum ko gar bimar ki hai fikr kuchh aisa karo
ye baDi taklif mein hai nind aa jae ise
ai junun ab dil ka koi aur maskan DhunD lo
hai pari-chehra koi jo aa ke le jae ise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.