aql ka har sawal kaT diya
'aql kā har savāl kaaT diyā
be-ḳhudī ne vabāl kaaT diyā
machhliyāñ to phañsī huī thiiñ magar
ek kachhue ne jaal kaaT diyā
fā'ilātun ne jab nazar badlī
ham ne taaza ḳhayāl kaaT diyā
ik zarā aañkh lag ga.ī thī raat
qissa-go ne vabāl kaaT diyā
kaam mushkil thā par savere tak
maiñ ne maazī se haal kaaT diyā
ek din āñsuoñ kī turshī ne
aap kā bhī rumāl kaaT diyā
raah meñ āsmānī lashkar ko
jo milā pā.emāl kaaT diyā
'aql ka har sawal kaT diya
be-KHudi ne wabaal kaT diya
machhliyan to phansi hui thin magar
ek kachhue ne jal kaT diya
fa'ilatun ne jab nazar badli
hum ne taza KHayal kaT diya
ek zara aankh lag gai thi raat
qissa-go ne wabaal kaT diya
kaam mushkil tha par sawere tak
main ne mazi se haal kaT diya
ek din aansuon ki turshi ne
aap ka bhi rumal kaT diya
rah mein aasmani lashkar ko
jo mila paemal kaT diya
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 82)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.