aql ka zarf juda hosh ka paimana juda
Interesting Fact
(September 1932)
aql kā zarf judā hosh kā paimāna judā
husn aur ishq kā donoñ se hai afsāna judā
ishq kā bār-e-amānat kahāñ kam-māya kahāñ
diin bulbul kā judā mashrab-e-parvāna judā
dil meñ hai kirmak-e-shab-tāb ke bhī aag nihāñ
lekin is aag se hai sozish-e-parvāna judā
kab bure vaqt meñ hotā hai kisī kā koī
sham.a gul hote hī ho jaatā hai parvāna judā
gulshan-e-dahr meñ jab bū-e-vafā anqā ho
kyā kare gar na rahe sabza-e-begāna judā
ishq-bāzoñ se nahīñ bul-havasoñ ko nisbat
un kā me.aar judā in kā hai paimāna judā
teġh-e-qātil ke rahe sāmne ham sīna-sipar
marte marte na huī himmat-e-mardāna judā
chashm-e-bīnā meñ haiñ ye donoñ jagah manzil-e-yār
na rah-e-ka.aba judā na rah-e-but-ḳhāna judā
zarre zarre meñ hai kaunain ke us kā hī zuhūr
donoñ aalam se hai phir jalva-e-jānāna judā
merī hī āñkhoñ pe ġhaflat kā paḌā thā parda
shāhid-e-husn-e-azal mujh se huā thā na judā
zabt-e-ulfat kahīñ mumkin hai tunak-zarfoñ se
tābish-e-sham.a judā sozish-e-parvāna judā
nāla-e-ātish-e-ġham aur bhaḌak uThtā hai
sham.a ke ho jo tasavvur meñ bhī parvāna judā
hai suḳhan meñ mire ik jiddat-e-tāza 'tālib'
merā mazmūñ judā unvāñ judā afsāna judā
aql ka zarf juda hosh ka paimana juda
husn aur ishq ka donon se hai afsana juda
ishq ka bar-e-amanat kahan kam-maya kahan
din bulbul ka juda mashrab-e-parwana juda
dil mein hai kirmak-e-shab-tab ke bhi aag nihan
lekin is aag se hai sozish-e-parwana juda
kab bure waqt mein hota hai kisi ka koi
shama gul hote hi ho jata hai parwana juda
gulshan-e-dahr mein jab bu-e-wafa anqa ho
kya kare gar na rahe sabza-e-begana juda
ishq-bazon se nahin bul-hawason ko nisbat
un ka mear juda in ka hai paimana juda
tegh-e-qatil ke rahe samne hum sina-sipar
marte marte na hui himmat-e-mardana juda
chashm-e-bina mein hain ye donon jagah manzil-e-yar
na rah-e-kaba juda na rah-e-but-KHana juda
zarre zarre mein hai kaunain ke us ka hi zuhur
donon aalam se hai phir jalwa-e-jaanana juda
meri hi aankhon pe ghaflat ka paDa tha parda
shahid-e-husn-e-azal mujh se hua tha na juda
zabt-e-ulfat kahin mumkin hai tunak-zarfon se
tabish-e-shama juda sozish-e-parwana juda
nala-e-atish-e-gham aur bhaDak uThta hai
shama ke ho jo tasawwur mein bhi parwana juda
hai suKHan mein mere ek jiddat-e-taza 'talib'
mera mazmun juda unwan juda afsana juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.