aql ki sath se kuchh aur ubhar jaana tha
'aql kī sat.h se kuchh aur ubhar jaanā thā
'ishq ko manzil-e-pastī se guzar jaanā thā
jalve the halqa-e-sar dām-e-nazar se bāhar
maiñ ne har jalve ko pāband-e-nazar jaanā thā
husn kā ġham bhī hasīñ fikr hasīñ dard hasīñ
un ko har rang meñ har taur sañvar jaanā thā
husn ne shauq ke hañgāme to dekhe the bahut
'ishq ke dāva-e-taqdīs se Dar jaanā thā
ye to kyā kahiye chalā thā maiñ kahāñ se hamdam
mujh ko ye bhī na thā mā'lūm kidhar jaanā thā
husn aur 'ishq ko de tāna-e-bedād 'majāz'
tum ko to sirf isī baat pe mar jaanā thā
'aql ki sath se kuchh aur ubhar jaana tha
'ishq ko manzil-e-pasti se guzar jaana tha
jalwe the halqa-e-sar dam-e-nazar se bahar
main ne har jalwe ko paband-e-nazar jaana tha
husn ka gham bhi hasin fikr hasin dard hasin
un ko har rang mein har taur sanwar jaana tha
husn ne shauq ke hangame to dekhe the bahut
'ishq ke dawa-e-taqdis se Dar jaana tha
ye to kya kahiye chala tha main kahan se hamdam
mujh ko ye bhi na tha ma'lum kidhar jaana tha
husn aur 'ishq ko de tana-e-bedad 'majaz'
tum ko to sirf isi baat pe mar jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.