aql ko aashuftagi se kya gharaz
aql ko aashuftagi se kya gharaz
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
aql ko āshuftagī se kyā ġharaz
ahl-e-dil kī dil-lagī se kyā ġharaz
phir bhī vo muhtāj-e-sāqī ho gayā
jām-e-mai ko tishnagī se kyā ġharaz
Thiik samjhā hai nizām-e-kohna ko
murda sar ko tāzgī se kyā ġharaz
mast ho jo apne jalvoñ meñ use
aap kī tābindagī se kyā ġharaz
aql ko aashuftagi se kya gharaz
ahl-e-dil ki dil-lagi se kya gharaz
phir bhi wo muhtaj-e-saqi ho gaya
jam-e-mai ko tishnagi se kya gharaz
Thik samjha hai nizam-e-kohna ko
murda sar ko tazgi se kya gharaz
mast ho jo apne jalwon mein use
aap ki tabindagi se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.