aql-o-danish ko yaqinan mat honi chahiye
'aql-o-dānish ko yaqīnan maat honī chāhiye
'ishq-e-vāhid meñ yahī ḳhairāt honī chāhiye
sar qalam kar de sitamgar dast-o-bāzū kaaT de
be-takalluf haq-ba-jānib baat honī chāhiye
paḌh sakeñ nā-āfrīda gulshanoñ ke 'andalīb
bebasī safhāt-dar-safhāt honī chāhiye
chār-sū maqtal hī maqtal dasht-o-sahrā karbalā
gar yahī din hai to phir ab raat honī chāhiye
'aql-o-danish ko yaqinan mat honi chahiye
'ishq-e-wahid mein yahi KHairaat honi chahiye
sar qalam kar de sitamgar dast-o-bazu kaT de
be-takalluf haq-ba-jaanib baat honi chahiye
paDh saken na-afrida gulshanon ke 'andalib
bebasi safhat-dar-safhat honi chahiye
chaar-su maqtal hi maqtal dasht-o-sahra karbala
gar yahi din hai to phir ab raat honi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.