araq ko dekh munh par tere pyare
araq ko dekh muñh par tere pyāre
falak ko piiTh de baiThe haiñ taare
kabhī vo din bhī hovegā ki jis din
gale se phir mileñge ham tumhāre
chaman meñ kis ne dil ḳhālī kiyā hai
lahū se jo bhare haiñ phuul saare
nahīñ hotī mayassar vasl kī raat
chale jaate haiñ yuuñ hī din hamāre
raqīboñ ko mileñ gul aur hameñ daaġh
'hasan' kyā baḳht ulTe haiñ hamāre
araq ko dekh munh par tere pyare
falak ko piTh de baiThe hain tare
kabhi wo din bhi howega ki jis din
gale se phir milenge hum tumhaare
chaman mein kis ne dil KHali kiya hai
lahu se jo bhare hain phul sare
nahin hoti mayassar wasl ki raat
chale jate hain yun hi din hamare
raqibon ko milen gul aur hamein dagh
'hasan' kya baKHt ulTe hain hamare
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.