arbab-e-iqtidar se mera sawal hai
arbāb-e-iqtidār se merā savāl hai
ye daur-e-irtiqā hai ki daur-e-zavāl hai
jab jab lage hai aag hamāre hī ghar jaleñ
ye baat ittifāq hai yā gahrī chaal
kaisī munāfiqoñ kī hai sāzish na pūchhiye
TuuTe na jo vo reshmī dhāgoñ kā jaal hai
aise meñ ḳhvāb āñkhoñ meñ koī sajā.e kyā
vo habs hai ki chain se sonā muhāl hai
ham to azāb-e-tishna-labī se haiñ nīm-jāñ
guzrī hai jaane kyā ki samundar niDhāl hai
hālāt-o-kaifiyāt kī tasvīr khīñchnā
'nusrat' nahīñ tirā ye suḳhan kā kamāl hai
arbab-e-iqtidar se mera sawal hai
ye daur-e-irtiqa hai ki daur-e-zawal hai
jab jab lage hai aag hamare hi ghar jalen
ye baat ittifaq hai ya gahri chaal
kaisi munafiqon ki hai sazish na puchhiye
TuTe na jo wo reshmi dhagon ka jal hai
aise mein KHwab aankhon mein koi sajae kya
wo habs hai ki chain se sona muhaal hai
hum to azab-e-tishna-labi se hain nim-jaan
guzri hai jaane kya ki samundar niDhaal hai
haalat-o-kaifiyat ki taswir khinchna
'nusrat' nahin tera ye suKHan ka kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.