arbab-e-karam se badla hai dastur-e-gham-e-ayyam kahan
arbab-e-karam se badla hai dastur-e-gham-e-ayyam kahan
Khaleeq Burhanpuri
MORE BYKhaleeq Burhanpuri
arbāb-e-karam se badlā hai dastūr-e-ġham-e-ayyām kahāñ
is daur-e-jahān-e-hastī meñ insān ko hai ārām kahāñ
duniyā hai jafāoñ kī shaidā duniyā ko vafā se kaam kahāñ
ai husn-e-vafā ke dīvāne letā hai vafā kā naam kahāñ
rahbar nazar aate haiñ rahzan tārīk dil aur māthe pe shikan
pūchho na haqīqat kuchh apnī ġhurbat meñ huī hai shaam kahāñ
ai tā.ir-e-ḳhush-āvāz abhī rahne de bahāroñ ke naġhme
shāyad ye tujhe ma.alūm nahīñ gulshan meñ bichhe haiñ daam kahāñ
rahbar na milā manzil na milī baaqī hai safar din ḳhatm huā
maiñ dekh rahā huuñ hasrat se jaltā hai charāġh-e-shām kahāñ
arbab-e-karam se badla hai dastur-e-gham-e-ayyam kahan
is daur-e-jahan-e-hasti mein insan ko hai aaram kahan
duniya hai jafaon ki shaida duniya ko wafa se kaam kahan
ai husn-e-wafa ke diwane leta hai wafa ka nam kahan
rahbar nazar aate hain rahzan tarik dil aur mathe pe shikan
puchho na haqiqat kuchh apni ghurbat mein hui hai sham kahan
ai tair-e-KHush-awaz abhi rahne de bahaaron ke naghme
shayad ye tujhe malum nahin gulshan mein bichhe hain dam kahan
rahbar na mila manzil na mili baqi hai safar din KHatm hua
main dekh raha hun hasrat se jalta hai charagh-e-sham kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.