are mai-gusaro sawere sawere
are mai-gusāro savere savere
ḳharābāt ke gird phere pe phere
baḌī raushnī baḳhshte haiñ nazar ko
tere gesuoñ ke muqaddas añdhere
kisī din idhar se guzar kar to dekho
baḌī raunaqeñ haiñ faqīroñ ke Dere
ġham-e-zindagī ko 'adam' saath le kar
kahāñ jā rahe ho savere savere
are mai-gusaro sawere sawere
KHarabaat ke gird phere pe phere
baDi raushni baKHshte hain nazar ko
tere gesuon ke muqaddas andhere
kisi din idhar se guzar kar to dekho
baDi raunaqen hain faqiron ke Dere
gham-e-zindagi ko 'adam' sath le kar
kahan ja rahe ho sawere sawere
- Book : Junoon (Pg. 22)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.