are o be-murawwat tu kahan hai
are o be-muravvat tū kahāñ hai
taḌaptā hijr meñ ye nā-tavāñ hai
marīz-e-ishq kī tū le ḳhabar jald
ki vo ab koī dam kā mehmāñ hai
butoñ meñ sang-dil hai kaun tujh sā
tirī sañgīñ-dilī sab par ayaañ hai
ye sun kar haal merā hañs ke bolā
ayādat kī mujhe fursat kahāñ hai
butoñ ko narm-dil dekhā hai kis ne
suno sangīñ-dilī vasf-e-butāñ hai
na aaya zindagānī meñ jo vo shoḳh
ki martā huuñ dam-e-naz.a ravāñ hai
to phir vo aa chukā merī lahad par
yahī jab hāl-e-daur-e-āsmāñ hai
fanā hai ġhair-e-haq ko 'ājiz'-e-zār
baqā vasf-e-ḳhudā-e-do-jahāñ hai
are o be-murawwat tu kahan hai
taDapta hijr mein ye na-tawan hai
mariz-e-ishq ki tu le KHabar jald
ki wo ab koi dam ka mehman hai
buton mein sang-dil hai kaun tujh sa
teri sangin-dili sab par ayan hai
ye sun kar haal mera hans ke bola
ayaadat ki mujhe fursat kahan hai
buton ko narm-dil dekha hai kis ne
suno sangin-dili wasf-e-butan hai
na aaya zindagani mein jo wo shoKH
ki marta hun dam-e-naza rawan hai
to phir wo aa chuka meri lahad par
yahi jab haal-e-daur-e-asman hai
fana hai ghair-e-haq ko 'ajiz'-e-zar
baqa wasf-e-KHuda-e-do-jahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.