Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh be-qabu hai duniya ki tarah

Jameel Yusuf

aankh be-qabu hai duniya ki tarah

Jameel Yusuf

MORE BYJameel Yusuf

    aañkh be-qābū hai duniyā tarah

    dil hai pahlū meñ tamannā tarah

    koī āvāz koī guuñj nahīñ

    vaqt chup-chāp hai sahrā tarah

    hai ik phailtī baḌhtī ḳhushbū

    maiñ huuñ ik sho.ala-e-tanhā tarah

    mirī raah meñ kyuuñ haa.il hai

    ek umDe hue dariyā tarah

    mujh ko ma.alūm nahīñ thā ai dost

    bhī begāna hai duniyā tarah

    duur ufuq-pār hai shab pichhle-pahar

    koī ubhrā ruḳh-e-zebā tarah

    shahr meñ chāñdnī ban kar utrā

    chhā gayā nashsha-e-sahbā tarah

    bas tire rañg-e-hayā mānind

    hū-ba-hū tere sarāpā tarah

    ab kahāñ pā.ūñgā maiñ naqsh-e-'jamīl'

    DhūñDhtā phirtā huuñ dariyā tarah

    aankh be-qabu hai duniya ki tarah

    dil hai pahlu mein tamanna ki tarah

    koi aawaz koi gunj nahin

    waqt chup-chap hai sahra ki tarah

    tu hai ek phailti baDhti KHushbu

    main hun ek shoala-e-tanha ki tarah

    tu meri rah mein kyun hail hai

    ek umDe hue dariya ki tarah

    mujh ko malum nahin tha ai dost

    tu bhi begana hai duniya ki tarah

    dur ufuq-par hai shab pichhle-pahar

    koi ubhra ruKH-e-zeba ki tarah

    shahr mein chandni ban kar utra

    chha gaya nashsha-e-sahba ki tarah

    bas tere rang-e-haya ki manind

    hu-ba-hu tere sarapa ki tarah

    ab kahan paunga main naqsh-e-'jamil'

    DhunDhta phirta hun dariya ki tarah

    Source :
    • Book : rang-e- gazal (Pg. 179)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now