aarzuon ko apni kam na karo
ārzūoñ ko apnī kam na karo
jiinā chāho to koī ġham na karo
haath aa.e ḳhushī to ḳhush holo
dil ho ġhamgīñ to aañkh nam na karo
jaisī mil jaa.e jis qadar mil jaa.e
pī bhī lo fikr-e-besh-o-kam na karo
jaisī guzre guzārte jaao
sāz-o-sāmāñ koī baham na karo
log kahte phireñ tumheñ kyā kyā
aap apne pe ye sitam na karo
jī meñ jo aa.e vo likho sāhab
jo zamāna kahe raqam na karo
aarzuon ko apni kam na karo
jina chaho to koi gham na karo
hath aae KHushi to KHush holo
dil ho ghamgin to aankh nam na karo
jaisi mil jae jis qadar mil jae
pi bhi lo fikr-e-besh-o-kam na karo
jaisi guzre guzarte jao
saz-o-saman koi baham na karo
log kahte phiren tumhein kya kya
aap apne pe ye sitam na karo
ji mein jo aae wo likho sahab
jo zamana kahe raqam na karo
- Book : Awaz Na Do (Pg. 14)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.