Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashkon ne samundar mein ek aag lagai hai

Waqas Yusuf

ashkon ne samundar mein ek aag lagai hai

Waqas Yusuf

MORE BYWaqas Yusuf

    ashkoñ ne samundar meñ ik aag lagā.ī hai

    paanī pe sitam-gar tasvīr banā.ī hai

    is dil ne rulāyā hai ik baar mujhe phir se

    is dil ne mujhe phir se vo yaad dilā.ī hai

    ye kaisī judā.ī hai jo ḳhatm nahīñ hotī

    ye kaisī udāsī hai is dil pe jo chhā.ī hai

    maiñ ne mohabbat iz.hār kiyā pahle

    maiñ ne use kar ye baat batā.ī hai

    mushkil se guzārā hai is dil ne bahut mujh ko

    is dil ko agar terī kuchh yaad bhī aa.ī hai

    ik kaam ham ne bhī ye kaam kiyā hai bas

    ik naam shohrat bas ham ne kamā.ī hai

    bas maiñ ne 'vaqās' us ko is dil meñ basāyā hai

    bas maiñ ne 'vaqās' us se ye baat chhupā.ī hai

    ashkon ne samundar mein ek aag lagai hai

    pani pe sitam-gar ki taswir banai hai

    is dil ne rulaya hai ek bar mujhe phir se

    is dil ne mujhe phir se wo yaad dilai hai

    ye kaisi judai hai jo KHatm nahin hoti

    ye kaisi udasi hai is dil pe jo chhai hai

    main ne hi mohabbat ka izhaar kiya pahle

    main ne hi use ja kar ye baat batai hai

    mushkil se guzara hai is dil ne bahut mujh ko

    is dil ko agar teri kuchh yaad bhi aai hai

    ek kaam ka hum ne bhi ye kaam kiya hai bas

    ek nam ki shohrat hi bas hum ne kamai hai

    bas main ne 'waqas' us ko is dil mein basaya hai

    bas main ne 'waqas' us se ye baat chhupai hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now