KHuda hum ko aisi KHudai na de
ḳhudā ham ko aisī ḳhudā.ī na de
ki apne sivā kuchh dikhā.ī na de
ḳhatā-vār samjhegī duniyā tujhe
ab itnī ziyāda safā.ī na de
hañso aaj itnā ki is shor meñ
sadā siskiyoñ kī sunā.ī na de
ġhulāmī ko barkat samajhne lageñ
asīroñ ko aisī rihā.ī na de
ḳhudā aise ehsās kā naam hai
rahe sāmne aur dikhā.ī na de
KHuda hum ko aisi KHudai na de
ki apne siwa kuchh dikhai na de
KHata-war samjhegi duniya tujhe
ab itni ziyaada safai na de
hanso aaj itna ki is shor mein
sada siskiyon ki sunai na de
ghulami ko barkat samajhne lagen
asiron ko aisi rihai na de
KHuda aise ehsas ka nam hai
rahe samne aur dikhai na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.