ari zindagi gila ab nahin jo hua tha sab wo baja hua
ari zindagi gila ab nahin jo hua tha sab wo baja hua
Chhabi Saksena Sahai Saba
MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba
arī zindagī gila ab nahīñ jo huā thā sab vo bajā huā
mere pyaar kā thā jo kārvāñ vo rukā jahāñ thā luTā huā
merī aarzū thī ki ḳhushnumā ho shagufta gulistāñ har kujā
to vafā kī rasmeñ nibāh ke milā sahrā mujh ko sajā huā
merī jaan pe jo guzar ga.ī vo ḳhudā kī nek atā huī
mere āñso.oñ kī naamī se dhul ke ye gulistāñ bhī harā huā
rahe rāste baḌe jāñ-sitāñ huā pur-ḳhatar yuuñ merā safar
ye bhī hausla thā jafā kā jo bhī milā mujhe vo judā huā
mere māthe kī to shikan pe ik baqā be-rahm thā likhā huā
likhā haath kī jo lakīr pe thā vo jab milā to judā huā
are dosto merā dil 'sabā' jo nikāl kar kabhī dekhnā
ye jo tiir hai merī zindagī kā yuuñ kab se mujh meñ chubhā huā
ari zindagi gila ab nahin jo hua tha sab wo baja hua
mere pyar ka tha jo karwan wo ruka jahan tha luTa hua
meri aarzu thi ki KHushnuma ho shagufta gulistan har kuja
to wafa ki rasmen nibah ke mila sahra mujh ko saja hua
meri jaan pe jo guzar gai wo KHuda ki nek ata hui
mere aansoon ki nami se dhul ke ye gulistan bhi hara hua
rahe raste baDe jaan-sitan hua pur-KHatar yun mera safar
ye bhi hausla tha jafa ka jo bhi mila mujhe wo juda hua
mere mathe ki to shikan pe ek baqa be-rahm tha likha hua
likha hath ki jo lakir pe tha wo jab mila to juda hua
are dosto mera dil 'saba' jo nikal kar kabhi dekhna
ye jo tir hai meri zindagi ka yun kab se mujh mein chubha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.