arsa-e-umr mile wusat-e-viran mein mujhe
arsa-e-umr mile vus.at-e-vīrāñ meñ mujhe
vaqt le aayā hai phir shorish-e-tūfāñ meñ mujhe
ab to paiġhām atā ho koī āzādī kā
ab to ik umr huī hai tire zindāñ meñ mujhe
ġham Tapak paḌtā hai kyuuñ aañkh se aañsū ban kar
jab tirī yaad satā.e shab-e-hijrāñ meñ mujhe
sifat-e-koh-e-girāñ jam ke khaḌā huuñ lekin
raakh ho jaanā hai ik din tire armāñ meñ mujhe
arsa-e-umr mile wusat-e-viran mein mujhe
waqt le aaya hai phir shorish-e-tufan mein mujhe
ab to paigham ata ho koi aazadi ka
ab to ek umr hui hai tere zindan mein mujhe
gham Tapak paDta hai kyun aankh se aansu ban kar
jab teri yaad satae shab-e-hijran mein mujhe
sifat-e-koh-e-giran jam ke khaDa hun lekin
rakh ho jaana hai ek din tere arman mein mujhe
- Book : Makan Khulty Hain (Pg. 22)
- Author : Hassan Jameel
- Publication : Nastalique Al-firoz center Gazni Street, Urdu Bazar, (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.