arsh-e-KHuda KHamosh hai tahtus-sara mein chup
arsh-e-ḳhudā ḳhamosh hai tahtus-sarā meñ chup
shor itnā hai ki phail ga.ī hai fazā meñ chup
us ne bhī apne hoñToñ ko pāband kar liyā
maiñ ne bhī Daal rakhī hai dast-e-duā meñ chup
ilzām ab to tiir kī mānind ā.eñge
tum aa.e bhī to yuuñ ki thī āvāz-e-pā meñ chup
sūraj ta.alluqāt kā Dhalne pe aa gayā
mere junūñ meñ shor hai terī vafā meñ chup
pindār-e-sard-mehrī-e-duniyā kī ḳhair ho
dil ne agarche kar liyā shāmil duā meñ chup
koī vajūd hī nahīñ lafz-e-sukūn kā
apnī baqā meñ chup hai na apnī fanā meñ chup
'āfāq' duniyā kyā hai qayāmat ke baa'd bhī
zinda rahegī halqa-e-ahl-e-ravā meñ chup
arsh-e-KHuda KHamosh hai tahtus-sara mein chup
shor itna hai ki phail gai hai faza mein chup
us ne bhi apne honTon ko paband kar liya
main ne bhi Dal rakhi hai dast-e-dua mein chup
ilzam ab to tir ki manind aaenge
tum aae bhi to yun ki thi aawaz-e-pa mein chup
suraj talluqat ka Dhalne pe aa gaya
mere junun mein shor hai teri wafa mein chup
pindar-e-sard-mehri-e-duniya ki KHair ho
dil ne agarche kar liya shamil dua mein chup
koi wajud hi nahin lafz-e-sukun ka
apni baqa mein chup hai na apni fana mein chup
'afaq' duniya kya hai qayamat ke ba'd bhi
zinda rahegi halqa-e-ahl-e-rawa mein chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.