arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun
arz-e-ahvāl-e-dil-e-zār karūñ yā na karūñ
ishq se apne ḳhabar-dār karūñ yā na karūñ
gosh-e-dil se kabhī vo haal sune yā na sune
vā maiñ apne lab-e-guftār karūñ yā na karūñ
bosa ik us se jo māñgā to lagā kahne nahīñ
hai shash-o-panj ki takrār karūñ yā na karūñ
kahiye ai hazrat-e-dil kyā hai salāh-e-daulat
yaar se shikva-e-dīdār karūñ yā na karūñ
phuul aage na mire toḌ zarā ai gulchīñ
kah tū sair-e-gul-o-gulzār karūñ yā na karūñ
arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun
ishq se apne KHabar-dar karun ya na karun
gosh-e-dil se kabhi wo haal sune ya na sune
wa main apne lab-e-guftar karun ya na karun
bosa ek us se jo manga to laga kahne nahin
hai shash-o-panj ki takrar karun ya na karun
kahiye ai hazrat-e-dil kya hai salah-e-daulat
yar se shikwa-e-didar karun ya na karun
phul aage na mere toD zara ai gulchin
kah tu sair-e-gul-o-gulzar karun ya na karun
- Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.