arzan samajh agar gham-e-ulfat garan mile
arzāñ samajh agar ġham-e-ulfat garāñ mile
nuqsāñ nahīñ agar ivaz-e-naqd-e-jāñ mile
ai rāh-rau qadam na rakh is par ġhurūr se
ye ḳhaak vo hai jis meñ ka.ī kārvāñ mile
mil jaa.eñ kaash mujh ko kahīñ aur maiñ kahūñ
DhūñDā kahāñ kahāñ tumheñ aur tum kahāñ mile
hoñ dasht-o-koh yā chaman ai māder-e-vatan
jannat hai terā sāya-e-dāman jahāñ mile
us chand-roza ziist se jaan hai azaab meñ
kyuuñ kar kaTe jo zindagī jāvedāñ mile
ham kyuuñ kareñ zalīl jabīn-e-niyāz ko
shāyān-e-sajda jab na koī āstāñ mile
jab tak ḳhayāl-e-husn se ābād ho na dil
mumkin nahīñ zabān ko husn-e-bayāñ mile
milte rahe haiñ ham sho.arā-e-karām se
kam ahl-e-dil the beshtar ahl-e-zabāñ mile
'mahrūm' ho gayā safar-e-zindagī tamām
ab dekhiye qarār kī manzil kahāñ mile
arzan samajh agar gham-e-ulfat garan mile
nuqsan nahin agar iwaz-e-naqd-e-jaan mile
ai rah-rau qadam na rakh is par ghurur se
ye KHak wo hai jis mein kai karwan mile
mil jaen kash mujh ko kahin aur main kahun
DhunDa kahan kahan tumhein aur tum kahan mile
hon dasht-o-koh ya chaman ai mader-e-watan
jannat hai tera saya-e-daman jahan mile
us chand-roza zist se jaan hai azab mein
kyun kar kaTe jo zindagi jawedan mile
hum kyun karen zalil jabin-e-niyaz ko
shayan-e-sajda jab na koi aastan mile
jab tak KHayal-e-husn se aabaad ho na dil
mumkin nahin zaban ko husn-e-bayan mile
milte rahe hain hum shoara-e-karam se
kam ahl-e-dil the beshtar ahl-e-zaban mile
'mahrum' ho gaya safar-e-zindagi tamam
ab dekhiye qarar ki manzil kahan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.