arzi di to nikli dhup
arzī dī to niklī dhuup
kohre ne Dhak lī thī dhuup
do qadmoñ par manzil thī
zoroñ se phir barsī dhuup
būḌhī ammā buntī thī
garm sweater jaisī dhuup
dhuup meñ tarse saa.e ko
saa.e meñ shab aa.ī dhuup
bhūkī nañgī bastī ne
khaa.ī jūThan pahnī dhuup
phungī par aa baiThī dekh
kitnī shātir niklī dhuup
saa.e meñ hī rahte ho
dekhī bhī hai tīkhī dhuup
ġhurbat ke chūlhe pe hai
fāqoñ keī phīkī sī dhuup
ġhazloñ ke charḳhe pe nit
ehsāshoñ keī kaatī dhuup
Dhaltī shaam ne dekhī hai
lāThī le kar chaltī dhuup
chaa.e ke cup meñ ublī
aḳhbāroñ keī surḳhī dhuup
jīvan kyā hai bol 'ḳhayāl'
khaTTī mīThī tīkhī dhuup
arzi di to nikli dhup
kohre ne Dhak li thi dhup
do qadmon par manzil thi
zoron se phir barsi dhup
buDhi amma bunti thi
garm sweater jaisi dhup
dhup mein tarse sae ko
sae mein shab aai dhup
bhuki nangi basti ne
khai juThan pahni dhup
phungi par aa baiThi dekh
kitni shatir nikli dhup
sae mein hi rahte ho
dekhi bhi hai tikhi dhup
ghurbat ke chulhe pe hai
faqon kei phiki si dhup
ghazlon ke charKHe pe nit
ehsashon kei kati dhup
Dhalti sham ne dekhi hai
laThi le kar chalti dhup
chae ke cup mein ubli
aKHbaron kei surKHi dhup
jiwan kya hai bol 'KHayal'
khaTTi miThi tikhi dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.