asar dekha dua jab raat bhar ki
asar dekhā duā jab raat bhar kī
ziyā kuchh kuchh hai tāroñ meñ sahar kī
hue ruḳhsat jahāñ se sub.h hote
kahānī hijr kī yuuñ muḳhtasar kī
taḌap uTThe lahad ke sone vaale
zamīñ kī samt kyuuñ tum ne nazar kī
sahar dekheñ ye hasrat le ga.e ham
batā.eñ kyā tumheñ kyūñkar sahar kī
asar dekha dua jab raat bhar ki
ziya kuchh kuchh hai taron mein sahar ki
hue ruKHsat jahan se subh hote
kahani hijr ki yun muKHtasar ki
taDap uTThe lahad ke sone wale
zamin ki samt kyun tum ne nazar ki
sahar dekhen ye hasrat le gae hum
bataen kya tumhein kyunkar sahar ki
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 601)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.