asar hota nahin hai pattharon par
asar hotā nahīñ hai pattharoñ par
hameñ bhī naaz hai apne saroñ par
maiñ hiltī shāḳh se Dartā nahīñ huuñ
bharosā hai mujhe apne paroñ par
duā.eñ māñgtī rahtī haiñ nadiyāñ
umaD aate haiñ bādal sāgaroñ par
mujhe un bastiyoñ kī aarzū hai
jahāñ taale nahīñ milte gharoñ par
qalam kamzor paḌtā jā rahā hai
siyāsat chhā rahī hai shā.iroñ par
laḌe donoñ the hindū aur muslim
magar kis kā lahū thā ḳhanjaroñ par
agar ḳhud par bharosā hai to 'ulfat'
ubhar aate haiñ chehre pattharoñ par
asar hota nahin hai pattharon par
hamein bhi naz hai apne saron par
main hilti shaKH se Darta nahin hun
bharosa hai mujhe apne paron par
duaen mangti rahti hain nadiyan
umaD aate hain baadal sagaron par
mujhe un bastiyon ki aarzu hai
jahan tale nahin milte gharon par
qalam kamzor paDta ja raha hai
siyasat chha rahi hai shairon par
laDe donon the hindu aur muslim
magar kis ka lahu tha KHanjaron par
agar KHud par bharosa hai to 'ulfat'
ubhar aate hain chehre pattharon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.