asar itna to ho ya-rab hamare jazba-e-dil ka
asar itnā to ho yā-rab hamāre jazba-e-dil kā
baġhair-e-iltijā parda ulaT de koī mahmil kā
jo tum chāho badal jaa.e abhī naqsha mire dil kā
tumheñ mushkil nahīñ āsān karnā merī mushkil kā
ḳhudā jaane ye kis kā ḳhūn-e-nāhaq rang laayā hai
har aañsū surḳh hai jo bah rahā hai sham'-e-mahfil kā
mujhī se kyā hai mere āñsuoñ ke muntazir kyā ho
zarā tum hī palaT do muskurā kar rang mahfil kā
samajh baiThe sukūn-e-ārzī ko mustaqil rāhat
na kyoñ mātam karūñ maiñ ishrat-e-yārān-e-sāhil kā
koī dozaḳh banā.eñge ki vo jannat banā.eñge
ḳhudā jaane kareñge kyā mirī ḳhākistar-e-dil kā
'shifā' ye kasr-e-shān-e-zauq tauhīn-e-nazāra hai
ki un ko dekh kar kyā dekhnā phir māh-e-kāmil kā
asar itna to ho ya-rab hamare jazba-e-dil ka
baghair-e-iltija parda ulaT de koi mahmil ka
jo tum chaho badal jae abhi naqsha mere dil ka
tumhein mushkil nahin aasan karna meri mushkil ka
KHuda jaane ye kis ka KHun-e-nahaq rang laya hai
har aansu surKH hai jo bah raha hai sham'-e-mahfil ka
mujhi se kya hai mere aansuon ke muntazir kya ho
zara tum hi palaT do muskura kar rang mahfil ka
samajh baiThe sukun-e-arzi ko mustaqil rahat
na kyon matam karun main ishrat-e-yaran-e-sahil ka
koi dozaKH banaenge ki wo jannat banaenge
KHuda jaane karenge kya meri KHakistar-e-dil ka
'shifa' ye kasr-e-shan-e-zauq tauhin-e-nazara hai
ki un ko dekh kar kya dekhna phir mah-e-kaamil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.