asar kisi ka kuchh itna ajib hota hai
asar kisī kā kuchh itnā 'ajīb hotā hai
vo jitnī duur ho utnā qarīb hotā hai
har ek shaḳhs ko miltī nahīñ mohabbat bhī
kisī kisī kā hī achchhā nasīb hotā hai
tamām shahr ujāloñ se mālā-māl nahīñ
haiñ vo bhī jin kā añdherā nasīb hotā hai
jo apnī chhāyā musāfir ko de nahīñ saktā
bhalā vo peḌ bhī kitnā ġharīb hotā haiñ
koī tarastā hai paanī ko aaj bhī 'zīshān'
kahīñ kisī ke samundar qarīb hotā hai
asar kisi ka kuchh itna 'ajib hota hai
wo jitni dur ho utna qarib hota hai
har ek shaKHs ko milti nahin mohabbat bhi
kisi kisi ka hi achchha nasib hota hai
tamam shahr ujalon se mala-mal nahin
hain wo bhi jin ka andhera nasib hota hai
jo apni chhaya musafir ko de nahin sakta
bhala wo peD bhi kitna gharib hota hain
koi tarasta hai pani ko aaj bhi 'zishan'
kahin kisi ke samundar qarib hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.