asar kiya hai ye ai aah-e-na-rasa kaisa
asar kiya hai ye ai aah-e-na-rasa kaisa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
asar kiyā hai ye ai āh-e-nā-rasā kaisā
vo mujh pe raat ko ulTā huā ḳhafā kaisā
jo pochhiye to hai ik rang kā asar ye bhī
hamāre rone pe vo rashk-e-gul hañsā kaisā
butoñ ko duuñ jo maiñ har baat par ḳhudā kī qasam
ye kyā samajhte haiñ yaaro ki hai ḳhudā kaisā
vo din ga.e jo muḳhātib zarā vo hote the
ab un se nāma-o-paiġhām ai sabā kaisā
saqīm-hāl thā kuchh shaam tak to ai 'ārif'
vo raat ko nahīñ ma.alūm hai rahā kaisā
asar kiya hai ye ai aah-e-na-rasa kaisa
wo mujh pe raat ko ulTa hua KHafa kaisa
jo pochhiye to hai ek rang ka asar ye bhi
hamare rone pe wo rashk-e-gul hansa kaisa
buton ko dun jo main har baat par KHuda ki qasam
ye kya samajhte hain yaro ki hai KHuda kaisa
wo din gae jo muKHatib zara wo hote the
ab un se nama-o-paigham ai saba kaisa
saqim-haal tha kuchh sham tak to ai 'arif'
wo raat ko nahin malum hai raha kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.