Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asar meri zaban mein nahin raha

Aqeel Shadab

asar meri zaban mein nahin raha

Aqeel Shadab

MORE BYAqeel Shadab

    Interesting Fact

    Vol 236, April 2000

    asar mirī zabān meñ nahīñ rahā

    vo tiir ab kamān meñ nahīñ rahā

    hai pattharoñ qarz us ke dosh par

    jo kāñch ke makān meñ nahīñ rahā

    alaav sard ho ga.e hayāt ke

    rachāo dāstān meñ nahīñ rahā

    thā jis pe merī zindagī inhisār

    usī naam dhyān meñ nahīñ rahā

    gumān asāsa thā yaqīn

    yaqīn gumān meñ nahīñ rahā

    huā jo sahl us ke ghar rāsta

    maza kuchh takān meñ nahīñ rahā

    na kabhī bhī fikr maiñ ne suud

    kabhī bhī maiñ ziyān meñ nahīñ rahā

    vo kho gayā ġhubār-e-gard-e-rāh meñ

    jo shaḳhs imtihān meñ nahīñ rahā

    ḳhamoshiyoñ ne bhar diyā ḳhalāoñ ko

    suḳhan vo darmiyān meñ nahīñ rahā

    taḌap uThe jise ḳharīdne ko dil

    vo maal dukān meñ nahīñ rahā

    asar meri zaban mein nahin raha

    wo tir ab kaman mein nahin raha

    hai pattharon ka qarz us ke dosh par

    jo kanch ke makan mein nahin raha

    alaw sard ho gae hayat ke

    rachao dastan mein nahin raha

    tha jis pe meri zindagi ka inhisar

    usi ka nam dhyan mein nahin raha

    guman hi asasa tha yaqin ka

    yaqin hi guman mein nahin raha

    hua jo sahl us ke ghar ka rasta

    maza hi kuchh takan mein nahin raha

    na ki kabhi bhi fikr main ne sud ki

    kabhi bhi main ziyan mein nahin raha

    wo kho gaya ghubar-e-gard-e-rah mein

    jo shaKHs imtihan mein nahin raha

    KHamoshiyon ne bhar diya KHalaon ko

    suKHan wo darmiyan mein nahin raha

    taDap uThe jise KHaridne ko dil

    wo mal hi dukan mein nahin raha

    Source :
    • Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1442)
    • Author : Shamsur Rahman Faruqi
    • Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
    • Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now