asar na kam ho kabhi nala-e-rasa tera
asar na kam ho kabhī nāla-e-rasā terā
rahe baḌhā huā har aan hausla terā
paḌhī hai āriz-o-kākul kī dāstāñ maiñ ne
sunā hai maiñ ne fasāna zarā zarā terā
ai ashk-e-shauq tujhī se hai zindagī dil kī
fuzūñ hai chashma-e-haivāñ se martaba terā
tamām raah hai faiz-e-qadam se nūrānī
hai māhtāb zamīñ par ki naqsh-e-pā terā
qadam ko tez kar is se ziyāda ai 'betāb'
nikal gayā hai bahut duur qāfila terā
asar na kam ho kabhi nala-e-rasa tera
rahe baDha hua har aan hausla tera
paDhi hai aariz-o-kakul ki dastan main ne
suna hai main ne fasana zara zara tera
ai ashk-e-shauq tujhi se hai zindagi dil ki
fuzun hai chashma-e-haiwan se martaba tera
tamam rah hai faiz-e-qadam se nurani
hai mahtab zamin par ki naqsh-e-pa tera
qadam ko tez kar is se ziyaada ai 'betab'
nikal gaya hai bahut dur qafila tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.