Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asar to jazba-e-zauq-e-darun mein hai magar kam-kam

Zubair Irtaza

asar to jazba-e-zauq-e-darun mein hai magar kam-kam

Zubair Irtaza

MORE BYZubair Irtaza

    asar to jazba-e-zauq-e-darūñ meñ hai magar kam-kam

    shab-e-furqat ke māroñ ko hai ummīd-e-sahar kam-kam

    fareb-e-husn tevar se zāhir hai ye dīvāne

    haiñ andāz-e-bayān-e-husn se vāqif magar kam-kam

    vahī hai zauq aalam hazāroñ nā-murādī par

    magar aise bhī ahl-e-zauq aate haiñ nazar kam-kam

    mizāj-e-husn adā-e-husn se haiñ samajh lete

    haiñ aise bā-hunar kam-kam haiñ aise dīda-var kam-kam

    kahāñ vo log jin ko paikar-e-mehr-o-vafā kahiye

    agar haiñ bhī to kah liije ba-andāz-e-digar kam-kam

    'zubair' aḳhbār-e-ālam par nazar har ik hai lekin

    koī hai bā-ḳhabar kam-kam koī hai be-ḳhabar kam-kam

    asar to jazba-e-zauq-e-darun mein hai magar kam-kam

    shab-e-furqat ke maron ko hai ummid-e-sahar kam-kam

    fareb-e-husn tewar hi se zahir hai ye diwane

    hain andaz-e-bayan-e-husn se waqif magar kam-kam

    wahi hai zauq ka aalam hazaron na-muradi par

    magar aise bhi ahl-e-zauq aate hain nazar kam-kam

    mizaj-e-husn ada-e-husn hi se hain samajh lete

    hain aise ba-hunar kam-kam hain aise dida-war kam-kam

    kahan wo log jin ko paikar-e-mehr-o-wafa kahiye

    agar hain bhi to kah lije ba-andaz-e-digar kam-kam

    'zubair' aKHbar-e-alam par nazar har ek ki hai lekin

    koi hai ba-KHabar kam-kam koi hai be-KHabar kam-kam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now