asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan
asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan
Fazl Ahmad kariim Fazli
MORE BYFazl Ahmad kariim Fazli
asbāb-e-zindagī kī har ik chiiz hai garāñ
bas ek zindagī hai ki arzāñ hai āj-kal
mashshātgī-e-falsafa-e-maġhribī na pūchh
zulf-e-ḳhayāl aur pareshāñ hai āj-kal
sar-rishta-e-ḳhayāl huā jā rahā hai gum
kuchh aisī uljhanoñ meñ musalmāñ hai āj-kal
qudrat kī rahbarī ke tarīqe ajiib haiñ
ya.anī libās-e-kufr meñ īmāñ hai āj-kal
be-zahmat-e-shikār hī khā.egā kyā unheñ
kyuuñ gurg bakriyoñ kā nigahbāñ hai āj-kal
rānā.ī-e-ḳhayāl kī gul-kāriyāñ ga.iiñ
bas ham haiñ aur ḳhvāb-e-pareshāñ hai āj-kal
mālūm ho rahā hai ki manzil qarīb hai
kuchh tez-rau sī umr-e-gurezāñ hai āj-kal
asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan
bas ek zindagi hai ki arzan hai aaj-kal
mashshatgi-e-falsafa-e-maghribi na puchh
zulf-e-KHayal aur pareshan hai aaj-kal
sar-rishta-e-KHayal hua ja raha hai gum
kuchh aisi uljhanon mein musalman hai aaj-kal
qudrat ki rahbari ke tariqe ajib hain
yani libas-e-kufr mein iman hai aaj-kal
be-zahmat-e-shikar hi khaega kya unhen
kyun gurg bakriyon ka nigahban hai aaj-kal
ranai-e-KHayal ki gul-kariyan gain
bas hum hain aur KHwab-e-pareshan hai aaj-kal
malum ho raha hai ki manzil qarib hai
kuchh tez-rau si umr-e-gurezan hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.