asbab yahi hai yahi saman hamara
asbāb yahī hai yahī sāmān hamārā
chiḌiyoñ se mahaktā rahe dālān hamārā
har shaḳhs ko ḳhush-hālī kī dete haiñ duā.eñ
har shaḳhs hī kar jaatā hai nuqsān hamārā
har shaḳhs hī kyuuñ us ko miTāne pe tulā hai
dīvāroñ pe likkhā huā paimān hamārā
piite haiñ faqat saath nibhāne ke liye ham
har shaam ko ġham hotā hai mehmān hamārā
rahnā hai kisī aur ke qabze meñ hamesha
bhar saktā nahīñ koī bhī tāvān hamārā
is baat kā dukh hai ki ishāra nahīñ kaaTā
har moḌ pe hotā rahā chālān hamārā
har roz paḌe hote haiñ sab phuul zamīñ par
ye kaun girā detā hai gul-dān hamārā
asbab yahi hai yahi saman hamara
chiDiyon se mahakta rahe dalan hamara
har shaKHs ko KHush-haali ki dete hain duaen
har shaKHs hi kar jata hai nuqsan hamara
har shaKHs hi kyun us ko miTane pe tula hai
diwaron pe likkha hua paiman hamara
pite hain faqat sath nibhane ke liye hum
har sham ko gham hota hai mehman hamara
rahna hai kisi aur ke qabze mein hamesha
bhar sakta nahin koi bhi tawan hamara
is baat ka dukh hai ki ishaara nahin kaTa
har moD pe hota raha chaalan hamara
har roz paDe hote hain sab phul zamin par
ye kaun gira deta hai gul-dan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.