ashaar-e-dil-gir mein khoi rahti hun
ash.ār-e-dil-gīr meñ khoī rahtī huuñ
maiñ dīvān-e-'mīr' meñ khoī rahtī huuñ
pahle to tasvīr banātī huuñ terī
phir terī tasvīr meñ khoī rahtī huuñ
mujh se qafas kā darvāza kyā TūTegā
paañv paḌī zanjīr meñ khoī rahtī huuñ
ishq ke qisse log sunāte haiñ mujh ko
maiñ anjām-e-hīr meñ khoī rahtī huuñ
vaqt ne jitne ḳhvāb dikhā.e the mujh ko
maiñ un kī ta.abīr meñ khoī rahtī huuñ
apne hī mazmūn ne jakḌā hai mujh ko
is kī hī tafsīr meñ khoī rahtī huuñ
ashaar-e-dil-gir mein khoi rahti hun
main diwan-e-'mir' mein khoi rahti hun
pahle to taswir banati hun teri
phir teri taswir mein khoi rahti hun
mujh se qafas ka darwaza kya TuTega
panw paDi zanjir mein khoi rahti hun
ishq ke qisse log sunate hain mujh ko
main anjam-e-hir mein khoi rahti hun
waqt ne jitne KHwab dikhae the mujh ko
main un ki tabir mein khoi rahti hun
apne hi mazmun ne jakDa hai mujh ko
is ki hi tafsir mein khoi rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.