ashk aankhon mein bhare baiThe ho
ashk āñkhoñ meñ bhare baiThe ho
kitne buzdil ho Dare baiThe ho
tum ko mar kar bhī kahāñ marnā thā
zindagī meñ hī mare baiThe ho
kufr betāb hai bai.at ke liye
aur tum ho ki pare baiThe ho
ma.arke yuuñ kahīñ sar hote haiñ
haath par haath dhare baiThe ho
jo the khoTe vo sabhī chal nikle
aur tum ho ke khare baiThe ho
aa gayā kaun tumheñ yaad 'aḳhlāq'
is qadar ġham se bhare baiThe ho
ashk aankhon mein bhare baiThe ho
kitne buzdil ho Dare baiThe ho
tum ko mar kar bhi kahan marna tha
zindagi mein hi mare baiThe ho
kufr betab hai baiat ke liye
aur tum ho ki pare baiThe ho
marke yun kahin sar hote hain
hath par hath dhare baiThe ho
jo the khoTe wo sabhi chal nikle
aur tum ho ke khare baiThe ho
aa gaya kaun tumhein yaad 'aKHlaq'
is qadar gham se bhare baiThe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.