ashk aankhon mein meri jaan liye baiThi hun
ashk āñkhoñ meñ mirī jaan liye baiThī huuñ
lab pe tere liye muskān liye baiThī huuñ
tum bhī merī tarah kuchh Thos irāda kar lo
maiñ nibhā dene ke paimān liye baiThī huuñ
jald aa jaao ḳhizāñ aane se pahle pahle
maiñ bahāroñ ke kuchh ehsān liye baiThī huuñ
ek muddat se tirī rah meñ bichhī haiñ āñkheñ
maiñ shab-e-vasl ke armān liye baiThī huuñ
mujh ko Dar hai na kahīñ zabt kī gir jaa.e fasīl
āñkhoñ meñ ashk kā tūfān liye baiThī huuñ
vo mire pyaar kī ḳhushbū se nahīñ hai vāqif
apne dāman meñ gulistān liye baiThī huuñ
ashk aankhon mein meri jaan liye baiThi hun
lab pe tere liye muskan liye baiThi hun
tum bhi meri tarah kuchh Thos irada kar lo
main nibha dene ke paiman liye baiThi hun
jald aa jao KHizan aane se pahle pahle
main bahaaron ke kuchh ehsan liye baiThi hun
ek muddat se teri rah mein bichhi hain aankhen
main shab-e-wasl ke arman liye baiThi hun
mujh ko Dar hai na kahin zabt ki gir jae fasil
aankhon mein ashk ka tufan liye baiThi hun
wo mere pyar ki KHushbu se nahin hai waqif
apne daman mein gulistan liye baiThi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.