ashk aankhon se dam-e-zabt rawan hota hai
ashk āñkhoñ se dam-e-zabt ravāñ hotā hai
jab koī dard haqīqat kī zabāñ hotā hai
ḳhuun ristā hai to aatī hai gul-e-surḳh kī yaad
zaḳhm dekheñ to bahāroñ kā gumāñ hotā hai
ham ne aslāf ke kirdār kiye haiñ zinda
varna tārīḳh ko ehsās kahāñ hotā hai
har qadam ġham kī salīboñ se guzarnā hogā
marhala dard kā āsān kahāñ hotā hai
ishq ehsās-o-kam-o-besh kā pāband nahīñ
jab havas ho to ġham-e-sūd-o-ziyāñ hotā hai
arsa-e-dahr meñ insāñ kī haqīqat ma.alūm
ek tinkā jo sar-e-āb-e-ravāñ hotā hai
sabza pāmāl gul afsurda chaman pazhmurda
kyuuñ ba-īñ-shakl bahāroñ kā gumāñ hotā hai
manzar-e-dard ne ehsās na rakkhā baaqī
dekh lete haiñ magar hosh kahāñ hotā hai
aap kī zarra-navāzī hai jo is qābil huuñ
varna shā.ir meñ koī vasf kahāñ hotā
ġham jo baḳhshā hai mujhe tū ne ġhazal kī sūrat
ḳhuun pī pī ke shab-o-roz javāñ hotā hai
fasl-e-gul meñ dil-e-vahshī kā chalan mat pūchho
aise mausam meñ to ye āfat-e-jāñ hotā hai
kaun 'anjum' ke muqābil hai sar-e-bazm-e-suḳhan
munfarid aap kā andāz-e-bayāñ hotā hai
ashk aankhon se dam-e-zabt rawan hota hai
jab koi dard haqiqat ki zaban hota hai
KHun rista hai to aati hai gul-e-surKH ki yaad
zaKHm dekhen to bahaaron ka guman hota hai
hum ne aslaf ke kirdar kiye hain zinda
warna tariKH ko ehsas kahan hota hai
har qadam gham ki salibon se guzarna hoga
marhala dard ka aasan kahan hota hai
ishq ehsas-o-kam-o-besh ka paband nahin
jab hawas ho to gham-e-sud-o-ziyan hota hai
arsa-e-dahr mein insan ki haqiqat malum
ek tinka jo sar-e-ab-e-rawan hota hai
sabza pamal gul afsurda chaman pazhmurda
kyun ba-in-shakl bahaaron ka guman hota hai
manzar-e-dard ne ehsas na rakkha baqi
dekh lete hain magar hosh kahan hota hai
aap ki zarra-nawazi hai jo is qabil hun
warna shair mein koi wasf kahan hota
gham jo baKHsha hai mujhe tu ne ghazal ki surat
KHun pi pi ke shab-o-roz jawan hota hai
fasl-e-gul mein dil-e-wahshi ka chalan mat puchho
aise mausam mein to ye aafat-e-jaan hota hai
kaun 'anjum' ke muqabil hai sar-e-bazm-e-suKHan
munfarid aap ka andaz-e-bayan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.