ashk aankhon se piya bhi na bahaya humne
ashk āñkhoñ se piyā bhī na bahāyā ham ne
aag ko dil meñ kuchh is tarah chhupāyā ham ne
vo kabhī apne hue aur na vo ġhair hue
un ko khoyā bhī nahīñ aur na paayā ham ne
dil to pahle hī se zaḳhmī hai dukhī aur na kar
ai zamāne tirā har baar uThāyā ham ne
ham se milte haiñ vahī dushman-e-jānī kī tarah
jis kisī ko bhī yahāñ apnā banāyā ham ne
sar jhukā.e rahe is vāste har ik lamha
ai ḳhudā tujh ko har ik zarre meñ paayā ham ne
hādisa kyā thā 'kiran' kuchh na samajh meñ aayā
umr bhar kis ke liye ḳhud ko gañvāyā ham ne
ashk aankhon se piya bhi na bahaya hum ne
aag ko dil mein kuchh is tarah chhupaya hum ne
wo kabhi apne hue aur na wo ghair hue
un ko khoya bhi nahin aur na paya hum ne
dil to pahle hi se zaKHmi hai dukhi aur na kar
ai zamane tera har bar uThaya hum ne
hum se milte hain wahi dushman-e-jaani ki tarah
jis kisi ko bhi yahan apna banaya hum ne
sar jhukae rahe is waste har ek lamha
ai KHuda tujh ko har ek zarre mein paya hum ne
hadisa kya tha 'kiran' kuchh na samajh mein aaya
umr bhar kis ke liye KHud ko ganwaya hum ne
- Book : Pehchaan (Pg. 69)
- Author : Kavita Kiran
- Publication : Shiyam Kumar (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.