ashk baam-e-chashm par aane laga
ashk bām-e-chashm par aane lagā
rāz-e-ulfat bas ki khul jaane lagā
kījiye kyā us but-e-kāfir kā jo
dil meñ rah kar dil ko taḌpāne lagā
kyā kaheñ kitnī umīdeñ bañdh ga.iiñ
zulf ke ḳham jab vo suljhāne lagā
us but-e-nau-ḳhez kī nairangiyāñ
aa.ina bhī jis se sharmāne lagā
zulf jo suljhā na saktā thā kabhī
gutthiyāñ qismat kī suljhāne lagā
hashr meñ bhī us kī shoḳhī dekhiye
mujh ko aatā dekh kar jaane lagā
'sā'dī' ho kaise shab-e-ġham kī sahar
dil ko maiñ dil mujh ko samjhāne lagā
ashk baam-e-chashm par aane laga
raaz-e-ulfat bas ki khul jaane laga
kijiye kya us but-e-kafir ka jo
dil mein rah kar dil ko taDpane laga
kya kahen kitni umiden bandh gain
zulf ke KHam jab wo suljhane laga
us but-e-nau-KHez ki nairangiyan
aaina bhi jis se sharmane laga
zulf jo suljha na sakta tha kabhi
gutthiyan qismat ki suljhane laga
hashr mein bhi us ki shoKHi dekhiye
mujh ko aata dekh kar jaane laga
'sa'di' ho kaise shab-e-gham ki sahar
dil ko main dil mujh ko samjhane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.