ashk bahne lage tumhaare to
ashk bahne lage tumhāre to
abhī zinda haiñ ġham ke maare to
maiñ sahāroñ ko DhūñDhtā hī nahīñ
dushman-e-'azm haiñ sahāre to
rāstoñ meñ ye mahvashoñ kā hujūm
hosh uḌne lage hamāre to
aao maujoñ se bāt-chīt kareñ
ham se nārāz haiñ kināre to
ai ġham-e-be-kasī ke afsāno
Duub jā.eñge chāñd taare to
har qadam par hayāt hai maujūd
zindagī ko koī pukāre to
haa.e 'jarrār' kis pe naaz kareñ
ḳhud-ġharaz dost haiñ hamāre to
ashk bahne lage tumhaare to
abhi zinda hain gham ke mare to
main sahaaron ko DhunDhta hi nahin
dushman-e-'azm hain sahaare to
raston mein ye mahwashon ka hujum
hosh uDne lage hamare to
aao maujon se baat-chit karen
hum se naraaz hain kinare to
ai gham-e-be-kasi ke afsano
Dub jaenge chand tare to
har qadam par hayat hai maujud
zindagi ko koi pukare to
hae 'jarrar' kis pe naz karen
KHud-gharaz dost hain hamare to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.