ashk barbaad kar raha hun main
ashk barbād kar rahā huuñ maiñ
aaj unheñ yaad kar rahā huuñ maiñ
kaun jaane kise taḳhayyul meñ
shād-o-nāshād kar rahā huuñ maiñ
kyoñ pareshāñ hai terā mustaqbil
jam.a rūdād kar rahā huuñ maiñ
dil ko in nīm-bāz āñkhoñ se
mard āzād kar rahā huuñ maiñ
lailā-e-najad aur shīrīñ ko
qais farhād kar rahā huuñ maiñ
ḳhār-zāroñ ko ab ba-rang-e-digar
rashk-e-shamshād kar rahā huuñ maiñ
jis kā rahbar na koī raahī ho
raah ījād kar rahā huuñ maiñ
ashk barbaad kar raha hun main
aaj unhen yaad kar raha hun main
kaun jaane kise taKHayyul mein
shad-o-nashad kar raha hun main
kyon pareshan hai tera mustaqbil
jama rudad kar raha hun main
dil ko in nim-baz aankhon se
mard aazad kar raha hun main
laila-e-najad aur shirin ko
qais farhad kar raha hun main
KHar-zaron ko ab ba-rang-e-digar
rashk-e-shamshad kar raha hun main
jis ka rahbar na koi rahi ho
rah ijad kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.