ashk-dar-ashk wahi log rawan milte hain
ashk-dar-ashk vahī log ravāñ milte haiñ
ḳhvāb kī ret pe jin jin ke nishāñ milte haiñ
mere dīvān ke māthe pe ye kis ne likkhā
ḳhuun meñ bhīge varaq saare yahāñ milte haiñ
maiñ ne ik shaḳhs se ik baar yuuñ hī pūchhā thā
aap kī tarah hasīñ log kahāñ milte haiñ
ek muddat se use log ufuq kahte haiñ
ek muddat se ka.ī dariyā jahāñ milte haiñ
ek vo dil jahāñ mahbūb rahā kartā hai
paas us dil ke kahīñ allāh-miyāñ milte haiñ
jin nigāhoñ meñ mohabbat ke makīñ hote haiñ
un nigāhoñ meñ hī ḳhushbū ke makāñ milte haiñ
ashk-dar-ashk wahi log rawan milte hain
KHwab ki ret pe jin jin ke nishan milte hain
mere diwan ke mathe pe ye kis ne likkha
KHun mein bhige waraq sare yahan milte hain
main ne ek shaKHs se ek bar yun hi puchha tha
aap ki tarah hasin log kahan milte hain
ek muddat se use log ufuq kahte hain
ek muddat se kai dariya jahan milte hain
ek wo dil jahan mahbub raha karta hai
pas us dil ke kahin allah-miyan milte hain
jin nigahon mein mohabbat ke makin hote hain
un nigahon mein hi KHushbu ke makan milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.