ashk-e-gham KHun-e-dil piye hain log
ashk-e-ġham ḳhūn-e-dil piye haiñ log
jaane kis kis tarah jiye haiñ log
aah siine meñ ik liye haiñ log
ġham abhī mo'atabar kiye haiñ log
mai-e-tishna-labī piye haiñ log
phir bhī ḳhud ko liye diye haiñ log
chaak har fasl-e-gul meñ hotā hai
jeb-o-dāmāñ ko kyā siye haiñ log
lau kahāñ sirf kuchh uThe hai dhuāñ
muflisoñ ke bujhe diye haiñ log
sāhabo jām-e-jam kī ḳhair manāo
yuuñ lage hai ki kuchh piye haiñ log
dil ye bole hai sang hī hoñge
dast-e-ḳhālī meñ kuchh liye haiñ log
kitnī sadiyoñ se pā rahe haiñ sazā
kaisā jurm-e-vafā kiye haiñ log
'mīr' kā jaam aur 'shafīq' kī mai
ḳhuub jī khol kar piye haiñ log
ashk-e-gham KHun-e-dil piye hain log
jaane kis kis tarah jiye hain log
aah sine mein ek liye hain log
gham abhi mo'atabar kiye hain log
mai-e-tishna-labi piye hain log
phir bhi KHud ko liye diye hain log
chaak har fasl-e-gul mein hota hai
jeb-o-daman ko kya siye hain log
lau kahan sirf kuchh uThe hai dhuan
muflison ke bujhe diye hain log
sahabo jam-e-jam ki KHair manao
yun lage hai ki kuchh piye hain log
dil ye bole hai sang hi honge
dast-e-KHali mein kuchh liye hain log
kitni sadiyon se pa rahe hain saza
kaisa jurm-e-wafa kiye hain log
'mir' ka jam aur 'shafiq' ki mai
KHub ji khol kar piye hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.