ashk-e-gham mujhko bahar-surat chhupana hi paDa
ashk-e-ġham mujh ko bahar-sūrat chhupānā hī paḌā
aap ne jab haal pūchhā muskurānā hī paḌā
un ko majbūran naqāb-e-ruḳh uThānā hī paḌā
jur.at-e-ahl-e-nazar ko āzmānā hī paḌā
vaa.e majbūrī mazāq-e-barq kī taskīn ko
āshiyāna phir gulistāñ meñ banānā hī paḌā
aaj vo be-dard āmāda hai sunñe ke liye
qissa-e-dard-e-mohabbat ab sunānā hī paḌā
thā jo ehsās-e-mohabbat kī nazākat kā ḳhayāl
apnā dāman un ke hāthoñ se chhuḌānā hī paḌā
dīdanī haiñ ye mohabbat kī karishma-sāziyāñ
un ko mujh par zulm kar ke muskurānā hī paḌā
dard-e-dil kuchh rang lā.egā mujhe ma.alūm thā
aap ko āḳhir mirī manzil tak aanā hī paḌā
un kī badnāmī kā andesha rahā pesh-e-nazar
intihā-e-dard-o-ġham meñ muskurānā hī paḌā
ho ga.e majbūr yuuñ jalva dikhāne ke liye
dil banāne ke liye dil ko miTānā hī paḌā
dekh kar sehn-e-gulistāñ meñ bahāroñ kā hujūm
hazrat-e-vā.iz ko bhī sāġhar uThānā hī paḌā
jazba-e-be-iḳhtiyār-e-shauq se majbūr the
'sājid' un ke āstāñ par sar jhukānā hī paḌā
ashk-e-gham mujh ko bahar-surat chhupana hi paDa
aap ne jab haal puchha muskurana hi paDa
un ko majburan naqab-e-ruKH uThana hi paDa
jurat-e-ahl-e-nazar ko aazmana hi paDa
wae majburi mazaq-e-barq ki taskin ko
aashiyana phir gulistan mein banana hi paDa
aaj wo be-dard aamada hai sunne ke liye
qissa-e-dard-e-mohabbat ab sunana hi paDa
tha jo ehsas-e-mohabbat ki nazakat ka KHayal
apna daman un ke hathon se chhuDana hi paDa
didani hain ye mohabbat ki karishma-saziyan
un ko mujh par zulm kar ke muskurana hi paDa
dard-e-dil kuchh rang laega mujhe malum tha
aap ko aaKHir meri manzil tak aana hi paDa
un ki badnami ka andesha raha pesh-e-nazar
intiha-e-dard-o-gham mein muskurana hi paDa
ho gae majbur yun jalwa dikhane ke liye
dil banane ke liye dil ko miTana hi paDa
dekh kar sehn-e-gulistan mein bahaaron ka hujum
hazrat-e-waiz ko bhi saghar uThana hi paDa
jazba-e-be-iKHtiyar-e-shauq se majbur the
'sajid' un ke aastan par sar jhukana hi paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.