ashk-e-KHuni ko mila hai tere andaz ka rang
ashk-e-ḳhūnī ko milā hai tire andāz kā rang
phailā aariz pe tire dil meñ nihāñ raaz kā rang
chashm-e-giryāñ ko milī ruḳh kī gulābī tere
chhiḌke naale kī dabīzī terī āvāz kā rang
phuñktā hai suur sā jo bazm-e-tarab meñ dil kī
DhūñDe hai taar har ik saaz tire naaz kā rang
DhūñDe har lafz vahī chhab jo tire saath gayā
vo masīhā.ī tirī vo tire e.ajāz kā rang
husn-o-mastī jo jhalaktī thī adā se us kī
ab to mai se hī faqat chaḌhtā hai dam-sāz kā rang
ashk-e-KHuni ko mila hai tere andaz ka rang
phaila aariz pe tere dil mein nihan raaz ka rang
chashm-e-giryan ko mili ruKH ki gulabi tere
chhiDke nale ki dabizi teri aawaz ka rang
phunkta hai sur sa jo bazm-e-tarab mein dil ki
DhunDe hai tar har ek saz tere naz ka rang
DhunDe har lafz wahi chhab jo tere sath gaya
wo masihai teri wo tere eajaz ka rang
husn-o-masti jo jhalakti thi ada se us ki
ab to mai se hi faqat chaDhta hai dam-saz ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.