ashk girne ki sada aai hai
ashk girne kī sadā aa.ī hai
bas yahī rāhat-e-goyā.ī hai
sat.h par tiir rahe haiñ din raat
niiñd ik ḳhvāb kī gahrā.ī hai
in parindoñ kā palaT kar aanā
ik taḳhayyul kī pazīrā.ī hai
aks bhī ġhair hai ā.īna bhī
ye tahayyur hai ki tanhā.ī hai
un darīchoñ se ki jo the hī nahīñ
ik udāsī hai ki dar aa.ī hai
dil numūdār huā hai dil meñ
aañkh ik aañkh se bhar aa.ī hai
us kī ā.ankhoñ kī ḳhamoshī 'ādil'
Dūbte vaqt kī goyā.ī hai
ashk girne ki sada aai hai
bas yahi rahat-e-goyai hai
sath par tir rahe hain din raat
nind ek KHwab ki gahrai hai
in parindon ka palaT kar aana
ek taKHayyul ki pazirai hai
aks bhi ghair hai aaina bhi
ye tahayyur hai ki tanhai hai
un darichon se ki jo the hi nahin
ek udasi hai ki dar aai hai
dil numudar hua hai dil mein
aankh ek aankh se bhar aai hai
us ki aaankhon ki KHamoshi 'adil'
Dubte waqt ki goyai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.