ashk hain gham hai la-shuuri hai
ashk haiñ ġham hai lā-shu.ūrī hai
ya.anī apnī kahānī puurī hai
ham-safar to haiñ ham-ḳhayāl nahīñ
haa.e ye kis tarah kī duurī hai
vasl kī aarzū hai jaa.ez par
ishq meñ hijr bhī zarūrī hai
phir vahī maiñ huuñ phir vahī chaukhaT
phir koī aarzū adhūrī hai
ishq se kaise muñh churā.eñ ham
apnā pesha hī jī-huzūrī hai
ashk hain gham hai la-shuuri hai
yani apni kahani puri hai
ham-safar to hain ham-KHayal nahin
hae ye kis tarah ki duri hai
wasl ki aarzu hai jaez par
ishq mein hijr bhi zaruri hai
phir wahi main hun phir wahi chaukhaT
phir koi aarzu adhuri hai
ishq se kaise munh churaen hum
apna pesha hi ji-huzuri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.