ashk ho aankhen bhigona ho to phir
ashk ho āñkheñ bhigonā ho to phir
aañkh meñ sapnā salonā ho to phir
kab talak baḳhiya-garī kā shauq bhī
umr bhar siinā pironā ho to phir
dost internet par achchhā chalo
aur gale jo lag ke ronā ho to phir
vo mirī dil-jūī ko hāzir magar
us kā honā bhī na honā ho to phir
us ko paane kī talab par soch lo
us ko paanā us ko khonā ho to phir
nāzukī to sīkhī us ne phuul se
titliyoñ kā bojh Dhonā ho to phir
yuuñ jo ḳhush ho us ko hañstā dekh kar
us kā hañsnā us kā ronā ho to phir
yuuñ to gajroñ se kalā.ī saj ga.ī
chaah us kī chāñdī sonā ho to phir
log kahte haiñ ki duniyā gol hai
muflisī konā-ba-konā ho to phir
'ahmad' apne dil ko ḳhush karne chale
aur ġham dil kā khilaunā ho to phir
ashk ho aankhen bhigona ho to phir
aankh mein sapna salona ho to phir
kab talak baKHiya-gari ka shauq bhi
umr bhar sina pirona ho to phir
dost internet par achchha chalo
aur gale jo lag ke rona ho to phir
wo meri dil-jui ko hazir magar
us ka hona bhi na hona ho to phir
us ko pane ki talab par soch lo
us ko pana us ko khona ho to phir
nazuki to sikhi us ne phul se
titliyon ka bojh Dhona ho to phir
yun jo KHush ho us ko hansta dekh kar
us ka hansna us ka rona ho to phir
yun to gajron se kalai saj gai
chah us ki chandi sona ho to phir
log kahte hain ki duniya gol hai
muflisi kona-ba-kona ho to phir
'ahmad' apne dil ko KHush karne chale
aur gham dil ka khilauna ho to phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.